Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~

Go down 
+4
sameer
l.a.asim
Muhammad Ahmed
miim miim mughal
8 posters
AuthorMessage
miim miim mughal
muntaZim-e-a'A'laa
muntaZim-e-a'A'laa
miim miim mughal


Number of posts : 140
Age : 44
Location : North Nazimabad, Karachi
Registration date : 2007-10-24

~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Empty
PostSubject: ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~   ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Icon_minitimeTue Oct 30, 2007 5:20 pm

~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Qatilwn9


~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~

marnay valauN kay katbay likhay jaarahay haiN
dast-e-qaatil kay bausay kiay jaa rhay haiN......

inQilaab aanay vaalaa hay , ay ahl-e-gulshan...
Lahau say taraanay likhay jaa rahay haiN......


Mad
Back to top Go down
https://sukhan-daustaan.forumotion.com/index.htm
Muhammad Ahmed
muntaZim
muntaZim



Number of posts : 43
Registration date : 2007-10-24

~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Empty
PostSubject: Re: ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~   ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Icon_minitimeTue Oct 30, 2007 6:14 pm

Muhgal Bhaii
Adaab!

Ye yaqeenan wohi chaar misray haiN jo aap ne sunaaye thay.

Bohat khoob kaha hay aap ne.... lajawaab hay bhaiii..... meri jaanib se daad qabool kijay....

kya puuri ghazal honay ka imkaan hay... ?

Mukhlis,
Muhammad Ahmed.
Back to top Go down
miim miim mughal
muntaZim-e-a'A'laa
muntaZim-e-a'A'laa
miim miim mughal


Number of posts : 140
Age : 44
Location : North Nazimabad, Karachi
Registration date : 2007-10-24

~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Empty
PostSubject: Re: ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~   ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Icon_minitimeTue Oct 30, 2007 6:15 pm

inshaa allah.
Back to top Go down
https://sukhan-daustaan.forumotion.com/index.htm
l.a.asim
Sadr " suKhan daustaaN
Sadr
l.a.asim


Number of posts : 5
Registration date : 2007-10-25

~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Empty
PostSubject: Re: ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~   ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Icon_minitimeWed Oct 31, 2007 1:20 am

Pyare Mughal

khush raho

sune hue ash'aar paRhe,phir daad qabool karo lekin apni khayal aaraii se Dare huoN ko Daraya na karo agar ham mar gae tau log kaheNge ek shair daad aur bedaad ke darmiyan meiN aakar mahfil se uTh gaya,khuda hameN aur hamare mulk ko salamat rakkhe aur zalimoN se nijaat ata kare aameen.
ek baat aur ,chaar harf ''laa'nat'' ke liye ziyada iste'maal hota hai,
chaar harf bhejna muhaavra hai yani laa'nat bhejna yani nazar andaaz karna aur desh pe marna,aur ........khair jane do.

asim
Back to top Go down
https://sukhan-daustaan.forumotion.com/index.htm
sameer
rukn-e-majlis-e-shooraa
rukn-e-majlis-e-shooraa
sameer


Number of posts : 35
Location : Keamari Karachi
Registration date : 2007-10-30

~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Empty
PostSubject: Re: ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~   ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Icon_minitimeWed Oct 31, 2007 10:08 pm

miim miim mughal wrote:
~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Qatilwn9


~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~

marnay valauN kay katbay likhay jaarahay haiN
dast-e-qaatil kay bausay kiay jaa rhay haiN......

inQilaab aanay vaalaa hay , ay ahl-e-gulshan...
Lahau say taraanay likhay jaa rahay haiN......


Mad

pyaray bhaii MuGhal
Tasleemaat




yahaN keh logoN ko aik millat bananey keh liye sirf aur sirf inQalaab hi kii zarurat hai. daad HaaZir hai,qabool kijiye aur shukriyah ka moQa dijiye.


SAMEER
Back to top Go down
Khalid Mahmood
muntaZim
muntaZim



Number of posts : 81
Age : 73
Location : Mississauga, Canada.
Registration date : 2007-10-26

~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Empty
PostSubject: Re: ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~   ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Icon_minitimeThu Nov 01, 2007 12:48 am

mmm sb kaash k maiN bhi aapki zabaani aapka kalaam sun sakta Smile bahar haal ho sakta hai k aap ne is bezm meiN aisa koii intezaam ker rakha ho. ager aisa hai to kuch ata pata btaiiye!
Back to top Go down
phototech81
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 21
Registration date : 2007-11-10

~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Empty
PostSubject: Re: ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~   ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Icon_minitimeThu Nov 15, 2007 5:56 pm

bohat khub janab
bohat achy mesry lekh hai aap ny
boaht khub aap ki aur poetry ka intazar rahy ga
Back to top Go down
Zia Baloch
rukn-e-E'zaazii
rukn-e-E'zaazii



Number of posts : 13
Age : 43
Location : Balochistan
Registration date : 2007-10-27

~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Empty
PostSubject: Re: ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~   ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Icon_minitimeFri Nov 30, 2007 5:08 am

vaah MuGhal vaah ! mazaa aagayaa !

mujhe hamesha se shaai'ree meiN yeh andaaz marGhoob rahaa hai ! aap ne to meri chaaNdnii karaadii ! bahut hii Khoob ! ab jaldii se Ghazal mukammal kejiye ! aur hameN sunaaiye ! ham muntazir haiN ! ziyaada intezaar maut ke mutaraadif hai ! Khayaal rakhiye gaa ! be-shumaar daad qabool farmaaiye ! shukriya

Zia Baloch
Back to top Go down
zehrab
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 20
Location : USA
Registration date : 2007-12-06

~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Empty
PostSubject: Re: ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~   ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Icon_minitimeFri Dec 14, 2007 4:15 pm

Mughal Bhai

aap ka kalam watan ke her samajh dar shakhs ke dil ki awaz hey. Lekin wahan tow haal wohi hey na ke:

ab hey baari bisaartoN ki qamar
Kho chukey log tow zubaN kab ke

Aur kisi qaum ki sab sey baree bad naseebi wo hoti hey jab wahan ke danish war apni awaz aur tehreer sey mehroom ho jaaen ya ker diye jaaen .

Umeed hey jald hi aap is ghazal ki takmeel fermaaen gey. isi andaz ka mera ek sher berdasht ki jiye:

GaliyoN mein guunjti hey talabgar ki sada
azad ho gayee hey griftar ki sada

kabhi moqa mila tow puui ghazal bhi suniye ga.

Bohat si daad

Qamar
Back to top Go down
Sponsored content





~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Empty
PostSubject: Re: ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~   ~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~ Icon_minitime

Back to top Go down
 
~~ chaar Harf / chaar miSr'A'ay ~~
Back to top 
Page 1 of 1

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: ~suKhan daustaaN~ سخن دوستاں :: < Ghazal saraa'ay >-
Jump to: