Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 ~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~

Go down 
2 posters
AuthorMessage
miim miim mughal
muntaZim-e-a'A'laa
muntaZim-e-a'A'laa
miim miim mughal


Number of posts : 140
Age : 44
Location : North Nazimabad, Karachi
Registration date : 2007-10-24

~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ Empty
PostSubject: ~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~   ~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ Icon_minitimeTue Oct 30, 2007 3:56 pm

~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ 1100286556-1
~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ 1100286556-2
Back to top Go down
https://sukhan-daustaan.forumotion.com/index.htm
Khalid Mahmood
muntaZim
muntaZim



Number of posts : 81
Age : 73
Location : Mississauga, Canada.
Registration date : 2007-10-26

~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ Empty
PostSubject: Re: ~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~   ~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ Icon_minitimeFri Nov 02, 2007 11:00 am

mohtaram mughal sb!

bad naseebi sirf us korean manager hi ki nahiN hai! ham sab intehaii bud naseeb pakistani bhi usi zumrey meiN aatey haiN. ferq sirf soch ka hai! scratch

doosrey kaii column nigaaroN se hat ker kaash ZeroPoint k kaalam nigaar itna hausela rakhte k apna theek Email address apnee muskuraati huii tasveer aur apne naam e naami ke neechey likhtey. aapko takleef deine sey pehley aik taveel Email unko tehreer ki thee jo aik saii e raaegaN hi saabit huii. Mad

maiN un se yehi savaal kerta k kya unhoN ne navaaz shareef ki coruption ka zikr sif is liye nahiN kiya ke unheiN pakistaan aaney ki ijaazat nahiN mil sakee?? Question kya sirf usee kee resha davaaniyaN qaabil e mazammat haiN jo mulk meiN waapas aa gaya ho Question kya nawaaz shareef ko tamaam ilzamaat se bari ker k serzameen e arab ravaana ker deina pakistan k aaiin meiN tehreer tha Question

ager corruption ka zikr kerna hai to kya wo sirf daulat lootney ki hi corruption ho sakti hai Question kya ye corruption nahiN hai k altaaf husain sindh maiN apnee party ki hakoomat honey k bavajood afrangiyoN ki gode meiN beithey huey haiN Question kya yeh corruptio nahiN k unhoN ne aik aisey shakhs ko sindh ka governor banaaya hua hai jiska khaandaan unkey governor ban jaane ke baad tak bhi bhikaariyoN ki tarah afrangiyoN se welfare leita raha hai Question kya yeh corruption nahiN hai ke koii fauji service maiN sava laakh ka aur retire honey k baad das karoR ka ho jaata hai Question

zikr ager kerta jaaooN to yaqeenan in safhaat ka record bhi afraNgiyoN ki guiness book of world record maiN aaney ka haqdaar thehrey ga!

in qerzoN ki maafiyoN ki bunyaad ager aapko yaad ho to nawaz shaeef sb k daur meiN hi paRi thee. aur ilzamaat se bari hone ke is jadeed aur mutnavo silsiley ke buyaadi kirdaar bhi wohi they. unheiN sherm na aaii ke wo kis dhitaii se arz e muqaddas tasreef le gaey! aik lamhey ko na socha ke jis serzameen ne unheiN itna kuch diya, uskee baqa k liye jaan deina to aik ibaadat tha! lekin unheiN jaan daulat se, aur daulat watan se zyaada aziz thee.

maiN ne aap se bhi derkhaast ki thee k aik aik corrupt insaan ke baarey meiN tehqeeq honee chaahiye. adaalat ager insaaf nahiN de sakti, ham apni satah per to ye kaam ker saktey haiN. iskey liye hameN aisee ainak dhooNdnee paRey gee jis meiN benazir aur zerdaari k ilaava bhi kuch nazar aata ho.

jab tak ham insaaf kerna nahiN seekheN ge isi tarah raastoN k pather baney raheN ge! meira matlab sirf adaalatoN k insaaf se nahiN, soch ke insaaf se hai! aur insaaf ya be insaafi bina sabab nahiN ho sakti. in ke asbaab ko mad'de nazar rakh ker feisela deiney se hi halaat badleN ge!

khaalid!
Back to top Go down
miim miim mughal
muntaZim-e-a'A'laa
muntaZim-e-a'A'laa
miim miim mughal


Number of posts : 140
Age : 44
Location : North Nazimabad, Karachi
Registration date : 2007-10-24

~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ Empty
PostSubject: Re: ~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~   ~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ Icon_minitimeFri Nov 02, 2007 5:02 pm

Khalid Mahmood wrote:
mohtaram mughal sb!

bad naseebi sirf us korean manager hi ki nahiN hai! ham sab intehaii bud naseeb pakistani bhi usi zumrey meiN aatey haiN. ferq sirf soch ka hai! scratch

doosrey kaii column nigaaroN se hat ker kaash ZeroPoint k kaalam nigaar itna hausela rakhte k apna theek Email address apnee muskuraati huii tasveer aur apne naam e naami ke neechey likhtey. aapko takleef deine sey pehley aik taveel Email unko tehreer ki thee jo aik saii e raaegaN hi saabit huii. Mad

maiN un se yehi savaal kerta k kya unhoN ne navaaz shareef ki coruption ka zikr sif is liye nahiN kiya ke unheiN pakistaan aaney ki ijaazat nahiN mil sakee?? Question kya sirf usee kee resha davaaniyaN qaabil e mazammat haiN jo mulk meiN waapas aa gaya ho Question kya nawaaz shareef ko tamaam ilzamaat se bari ker k serzameen e arab ravaana ker deina pakistan k aaiin meiN tehreer tha Question

ager corruption ka zikr kerna hai to kya wo sirf daulat lootney ki hi corruption ho sakti hai Question kya ye corruption nahiN hai k altaaf husain sindh maiN apnee party ki hakoomat honey k bavajood afrangiyoN ki gode meiN beithey huey haiN Question kya yeh corruptio nahiN k unhoN ne aik aisey shakhs ko sindh ka governor banaaya hua hai jiska khaandaan unkey governor ban jaane ke baad tak bhi bhikaariyoN ki tarah afrangiyoN se welfare leita raha hai Question kya yeh corruption nahiN hai ke koii fauji service maiN sava laakh ka aur retire honey k baad das karoR ka ho jaata hai Question

zikr ager kerta jaaooN to yaqeenan in safhaat ka record bhi afraNgiyoN ki guiness book of world record maiN aaney ka haqdaar thehrey ga!

in qerzoN ki maafiyoN ki bunyaad ager aapko yaad ho to nawaz shaeef sb k daur meiN hi paRi thee. aur ilzamaat se bari hone ke is jadeed aur mutnavo silsiley ke buyaadi kirdaar bhi wohi they. unheiN sherm na aaii ke wo kis dhitaii se arz e muqaddas tasreef le gaey! aik lamhey ko na socha ke jis serzameen ne unheiN itna kuch diya, uskee baqa k liye jaan deina to aik ibaadat tha! lekin unheiN jaan daulat se, aur daulat watan se zyaada aziz thee.

maiN ne aap se bhi derkhaast ki thee k aik aik corrupt insaan ke baarey meiN tehqeeq honee chaahiye. adaalat ager insaaf nahiN de sakti, ham apni satah per to ye kaam ker saktey haiN. iskey liye hameN aisee ainak dhooNdnee paRey gee jis meiN benazir aur zerdaari k ilaava bhi kuch nazar aata ho.

jab tak ham insaaf kerna nahiN seekheN ge isi tarah raastoN k pather baney raheN ge! meira matlab sirf adaalatoN k insaaf se nahiN, soch ke insaaf se hai! aur insaaf ya be insaafi bina sabab nahiN ho sakti. in ke asbaab ko mad'de nazar rakh ker feisela deiney se hi halaat badleN ge!

khaalid!

~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ Maktoo10

~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ 1100290942-1
~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ 1100290942-2
Back to top Go down
https://sukhan-daustaan.forumotion.com/index.htm
Khalid Mahmood
muntaZim
muntaZim



Number of posts : 81
Age : 73
Location : Mississauga, Canada.
Registration date : 2007-10-26

~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ Empty
PostSubject: Re: ~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~   ~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ Icon_minitimeFri Nov 02, 2007 8:47 pm

miim miim mughal wrote:
Khalid Mahmood wrote:
mohtaram mughal sb!

bad naseebi sirf us korean manager hi ki nahiN hai! ham sab intehaii bud naseeb pakistani bhi usi zumrey meiN aatey haiN. ferq sirf soch ka hai! scratch

doosrey kaii column nigaaroN se hat ker kaash ZeroPoint k kaalam nigaar itna hausela rakhte k apna theek Email address apnee muskuraati huii tasveer aur apne naam e naami ke neechey likhtey. aapko takleef deine sey pehley aik taveel Email unko tehreer ki thee jo aik saii e raaegaN hi saabit huii. Mad

maiN un se yehi savaal kerta k kya unhoN ne navaaz shareef ki coruption ka zikr sif is liye nahiN kiya ke unheiN pakistaan aaney ki ijaazat nahiN mil sakee?? Question kya sirf usee kee resha davaaniyaN qaabil e mazammat haiN jo mulk meiN waapas aa gaya ho Question kya nawaaz shareef ko tamaam ilzamaat se bari ker k serzameen e arab ravaana ker deina pakistan k aaiin meiN tehreer tha Question

ager corruption ka zikr kerna hai to kya wo sirf daulat lootney ki hi corruption ho sakti hai Question kya ye corruption nahiN hai k altaaf husain sindh maiN apnee party ki hakoomat honey k bavajood afrangiyoN ki gode meiN beithey huey haiN Question kya yeh corruptio nahiN k unhoN ne aik aisey shakhs ko sindh ka governor banaaya hua hai jiska khaandaan unkey governor ban jaane ke baad tak bhi bhikaariyoN ki tarah afrangiyoN se welfare leita raha hai Question kya yeh corruption nahiN hai ke koii fauji service maiN sava laakh ka aur retire honey k baad das karoR ka ho jaata hai Question

zikr ager kerta jaaooN to yaqeenan in safhaat ka record bhi afraNgiyoN ki guiness book of world record maiN aaney ka haqdaar thehrey ga!

in qerzoN ki maafiyoN ki bunyaad ager aapko yaad ho to nawaz shaeef sb k daur meiN hi paRi thee. aur ilzamaat se bari hone ke is jadeed aur mutnavo silsiley ke buyaadi kirdaar bhi wohi they. unheiN sherm na aaii ke wo kis dhitaii se arz e muqaddas tasreef le gaey! aik lamhey ko na socha ke jis serzameen ne unheiN itna kuch diya, uskee baqa k liye jaan deina to aik ibaadat tha! lekin unheiN jaan daulat se, aur daulat watan se zyaada aziz thee.

maiN ne aap se bhi derkhaast ki thee k aik aik corrupt insaan ke baarey meiN tehqeeq honee chaahiye. adaalat ager insaaf nahiN de sakti, ham apni satah per to ye kaam ker saktey haiN. iskey liye hameN aisee ainak dhooNdnee paRey gee jis meiN benazir aur zerdaari k ilaava bhi kuch nazar aata ho.

jab tak ham insaaf kerna nahiN seekheN ge isi tarah raastoN k pather baney raheN ge! meira matlab sirf adaalatoN k insaaf se nahiN, soch ke insaaf se hai! aur insaaf ya be insaafi bina sabab nahiN ho sakti. in ke asbaab ko mad'de nazar rakh ker feisela deiney se hi halaat badleN ge!

khaalid!

~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ Maktoo10

~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ 1100290942-1
~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ 1100290942-2

mohtaram mughal sb aadaab!

huzoor aap bb ki maala japeN, ya NS ke qaseedey peRheN, aapka jamhoori haq hai.......... aur aapko ye safaii deine ki haajat kyuN derpeish huii k aapka ta,alluq kisi lisaani jama'at ya group se hai ya nahiN, mujhey is sey qat'an koii sar o kaar nahiN k is dhermshaala meiN doodh ka dhula to aik bhi nahiN jis per fakhr kiya ja sakey.

maiN akhbaraat maiN bhi peRh raha hooN aur forums per bhi. bajaaey iske k media is baat per murtakiz ho k aaj tak pakistan ki tareekh maiN sirf aik hi qadrey gheir mutnaaza election ho saka hai! uskey baad to ab tak baqol aik siyaasi peer o roohani peishva pagaRa sb dama dam mast qalander hi hota aaya hai. aik taraf to aap(pakistan hukoomat aur unke havaari) beirooni tehqeeaat ki zaroorat mehsoos nahiN kertey saaneha e kaarsaaz ke maamley meiN, aur doosree taraf aap mujhey aalmi report ka havaala dey rahey haiN Rolling Eyes ye kaisa tazaad hai ke jahaN mafaad ho wahaN hup hup aur jahaN maslehat aaRey aaey, wahaN thoo thoo!

meire nazdeek ye koii khvaaja dil muhammad ka riyaazi ka savaal nahiN balke aik aasaan see calculation hai k jab tak awaam intekhabaat k zerye apna aazaadaan faisela nahiN deitey, aap kisi ko moorid e ilzaam nahiN tHehra saktey. bhutto, zia ul haq, aur unke baad se le ker aajtak pakistani awaam ko ye haq nahiN mil saka. balkey ye aik musallema haqeeqat hai ke zia sb aur unke baad se androoni aur beirooni taaqateN PPP ko safha e hasti se mitaane per kamar busta haiN. sindh maiN aap ne aaj bhi deikha aur punjabi hukmaran yaqeenan ye deikhne ki taab nahiN rakhtey k PPP punjab maiN bhi maqbool hai abhi tak. uski corruption ko uchaala jaata raha hai, saabit koii bhi na ker saka. ya shayad kerna nahiN chaahta. Embarassed jab tak awaam ko ye moqa nahiN diya jaata PPP ki corruption be naqaab nahiN ho sakti!

yehi silsila jaari raha to fauji, bibi, shareef, pagaaRey, chathey, makhdoom, mahaajir(saatH saal baad bhi), laghaari aur najaaney kaun kaun, hamaarey ooper musallat raheN gey.

javed ch sb ne ager apna Email ka pata doosroN k liye sirf dikhaave ki had tak chaspaN rakha to meirey nazdeek wo unhiN aam sahaafiyoN ki tarah hi gerdaane jaaeN ge jo aam aadmi k liye likh ker sirf apna qud beRhaane k liye koshaN rehta hai. kya wajah hai ke aaj ke daur meiN bhi aap unheN paighaam bheij paaeN aur maiN nahiN Surprised jang ke do chaar columnist hazraat ko bhi maiN ne apna rad e amal bheijne ki saii e nakaam ki, lekin nateeja wohi dhaak k teen paat hi raha! aik munnu bhaii aisey column nigaar haiN shayad jinhoN ne apna pata hi nahiN likha. shayad ye unke munaafiq na hone kee daleel ho. ghalat pata likhna is satah per aik mujrimaana iqdaam hai.

maiN apni na ehli per inthaii sherminda hooN k aap meirey tamaam qetaat peRhne k bavajood bhi yehi raaey qaaem kerne per majboor haiN ke maira maqsad aap se be nazir ki maala japvaana hai!

aakhir meiN aapka irsaal kerda JC ka naya column peRhne ki ijaazat chahooN ga!

khaalid.
Back to top Go down
Sponsored content





~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ Empty
PostSubject: Re: ~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~   ~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~ Icon_minitime

Back to top Go down
 
~~~ Voh agarr Pakistan maiN hautaa tau ~~~
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» ~:: bazm-e-no pakistan kaa mashaa'ira'h ::~
» ittefaaq maiN barkat hay - Ibn-e-Insha
» apney saaye say bhi baRa hoN maiN
» maiN hooN to atom bum mehfooz hai! mush!!!

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: ~bayThak~ بیٹھک :: < chaa'ay Khaanay say >-
Jump to: