Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 Dow ashaar........

Go down 
3 posters
AuthorMessage
zehrab
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 20
Location : USA
Registration date : 2007-12-06

Dow ashaar........ Empty
PostSubject: Dow ashaar........   Dow ashaar........ Icon_minitimeThu Dec 06, 2007 3:20 pm

Dow ashaar, bey tukey sey, na taraasheeda sey, sukhan ki mehfil ke saathiyon ki khidmat mein:

Izn-e maqtal bhi naheeN, daar bhi matrook hua
Kya mere waastey kuch aur saza rakhi hey

Koi batlaao isey phaink ker aaoon mein kahan
Meri mayyat mere kandhon ney utha rakhi hey

Qamar
Back to top Go down
miim miim mughal
muntaZim-e-a'A'laa
muntaZim-e-a'A'laa
miim miim mughal


Number of posts : 140
Age : 44
Location : North Nazimabad, Karachi
Registration date : 2007-10-24

Dow ashaar........ Empty
PostSubject: Re: Dow ashaar........   Dow ashaar........ Icon_minitimeSat Dec 08, 2007 3:24 pm


fire work fire work fire work fire work fire work
Dow ashaar........ Zehrab10
محترم قمر زمان صاحب
آداب و سلامِ مسنون
ادبی تنظیم ”سخن دوستاں” میں تشریف لانے پر ہم جملہ اراکینِ انتظامیہ آپ کا صمیمِ قلب سے خیر مقدم کرتے ہیں۔ مزید برآں یہ کہ آپ کا کلام بعنوان دو اشعار ، لوحِ برقیات کے توسط سے نظر نواز ہوا ،، بہت خوب، میری ناچیز دعائیں اور اظہارِ پسندیدگی قبول کیجئے۔مجھے امید ہے کہ آپ کا ساتھ یونہی ۔۔ اس بزم کی رونق بڑھاتا رہے گا۔
آتے رہیئے اور اپنے کلام سے ہمارے دلوں کو آئینہ بناتے رہئے۔
نیاز مشرب
م۔م۔مغل
Back to top Go down
https://sukhan-daustaan.forumotion.com/index.htm
naheedv
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 10
Registration date : 2007-11-29

Dow ashaar........ Empty
PostSubject: Re: Dow ashaar........   Dow ashaar........ Icon_minitimeSun Dec 09, 2007 12:18 am

Qamar saaheb,

aap ke ashaa'r ache hain magar 2nd she'r meN mujhey qadre ikhtelaaf hai aur ye sirf aur sirf meri zaati raaye hai jo ke ghalat bhee ho sakti hai.
ikhtelaaf ye hai ke 'Mayaat' ko supurde.e.khaak/dafn kiyaa jaataa hai, usey phaiNkaa naheeN jaataa. umeed hai ke meree baat naa.gavaar naheeN guzri ho gee.

shukriya
Naheed
Back to top Go down
http://naheedvirk.urdupoet.net
zehrab
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 20
Location : USA
Registration date : 2007-12-06

Dow ashaar........ Empty
PostSubject: Re: Dow ashaar........   Dow ashaar........ Icon_minitimeSun Dec 09, 2007 4:49 pm

Mughal Bhai

Itney bherpoor khair maqdam aur itni achi daad ka mein haq daar tow naheen tha . Ye aap ka husn-e nazar hey ke meri tuk bandi aap ko achi lagi. Koshish karun ga ke jaldi jaldi hazir hota rahun aur aap ehbaab sey kuch seekhta rahun.

Niaz Mand

Qamar uz Zaman
Back to top Go down
zehrab
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 20
Location : USA
Registration date : 2007-12-06

Dow ashaar........ Empty
PostSubject: Re: Dow ashaar........   Dow ashaar........ Icon_minitimeSun Dec 09, 2007 4:53 pm

naheedv wrote:
Qamar saaheb,

aap ke ashaa'r ache hain magar 2nd she'r meN mujhey qadre ikhtelaaf hai aur ye sirf aur sirf meri zaati raaye hai jo ke ghalat bhee ho sakti hai.
ikhtelaaf ye hai ke 'Mayaat' ko supurde.e.khaak/dafn kiyaa jaataa hai, usey phaiNkaa naheeN jaataa. umeed hai ke meree baat naa.gavaar naheeN guzri ho gee.

shukriya
Naheed

Naheed Saheba:

Ashaar ki pasndeedgi ka shukria. Aap ney sahi kaha ke aam taur per mayyat ko supurde khak/dafan kiya jaata hey, usey phainka naheen jaata. Lekin baaz murda ajsaam bey gor-o kafan bhi parey reh jaatey hein. Shayad ye mayyat usi qabeeley sey taluq rakhti ho!

Niaz mand

Qamar
Back to top Go down
Sponsored content





Dow ashaar........ Empty
PostSubject: Re: Dow ashaar........   Dow ashaar........ Icon_minitime

Back to top Go down
 
Dow ashaar........
Back to top 
Page 1 of 1

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: ~suKhan daustaaN~ سخن دوستاں :: < Ghazal saraa'ay >-
Jump to: