Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 ghazal

Go down 
4 posters
AuthorMessage
naheedv
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 10
Registration date : 2007-11-29

ghazal Empty
PostSubject: ghazal   ghazal Icon_minitimeSun Dec 02, 2007 3:28 am

Adaab,

pehlee baar iss mehfil meN apni aik ghazal le kar haazir ho rahi hooN. ummeed hai ke dostoN ko paaNd aaye gee. naa bhee aaye tau apnee raa'e se zaroor aagaaH kijiye gaa.

shukriya


ghazal Narm-u10
Back to top Go down
http://naheedvirk.urdupoet.net
waQaar-aHmad-malik
mehmaan
mehmaan
waQaar-aHmad-malik


Number of posts : 21
Registration date : 2007-11-08

ghazal Empty
PostSubject: Re: ghazal   ghazal Icon_minitimeSun Dec 02, 2007 9:22 pm

naaheed SaaHebah,

aadaab!

aapki ghazal paRh~ii aur pasand aa,ii. ghazal ka doosra She'r jiska mirs'ah hay "koii roShan sitaarah raat ko day", merii samajh~ maiN nahiiN aaYa. aap batlaayeN!

ghazal per daad qubool kee jiYay meri.

likh~ti rahYay!

waQaar Smile
Back to top Go down
Muhammad Ahmed
muntaZim
muntaZim



Number of posts : 43
Registration date : 2007-10-24

ghazal Empty
PostSubject: Re: ghazal   ghazal Icon_minitimeTue Dec 04, 2007 8:03 pm

ghazal Narm-u10


dhund se ab nikaal suraj ko
sabz rangat bhi zard paat ko de


Naheed Virk
Sahiba,

Adaab!

sab se pehlay tau Sukhan dostaaN maiN khush aamdeed....

rahi baat ghazal ki tau janaab aap ki ghazal bohat khoob hay, achhi lagi, khas ker quoted she'r....

bohat sari daad haazir hay.... gar qabool uftad zahay izzo sharaf.....

Mukhlis,
Muhammad Ahmed.
Back to top Go down
zehrab
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 20
Location : USA
Registration date : 2007-12-06

ghazal Empty
PostSubject: Re: ghazal   ghazal Icon_minitimeThu Dec 06, 2007 3:07 pm

Dafan ker ke marey huey sab pal
zinda lamhey bhi meri zaat ko dey

Bohat khubsoorat ghazal kahi aap ney Naheed. Khas ker ye sher bohat acha laga.

Daad Hazir hey

Kher andesh

Qamar uz Zaman
Back to top Go down
naheedv
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 10
Registration date : 2007-11-29

ghazal Empty
PostSubject: Re: ghazal   ghazal Icon_minitimeSun Dec 09, 2007 12:05 am

waQaar-aHmad-malik wrote:
naaheed SaaHebah,

aadaab!

aapki ghazal paRh~ii aur pasand aa,ii. ghazal ka doosra She'r jiska mirs'ah hay "koii roShan sitaarah raat ko day", merii samajh~ maiN nahiiN aaYa. aap batlaayeN!

ghazal per daad qubool kee jiYay meri.

likh~ti rahYay!

waQaar Smile

Aadaab Waqaar saaheb,

ghazal kee pasaNdeedagee ke liye buhat shukriya!

aap ne dusrey she'r

khol kar apnee aaNkh kee khiRkee
koyee roshan sitaarah raat ko de

kee wazaahat maaNgee hai tau yahaaN sirf itnaa hi kehnaa maqsood hai ke aankhoN meN roshani hi roshani hai yooN jaisey sitaare waheeN baseraa kar rahe hoN aur raat chooNke andheri hoti hai iss liye andheri raat ko roshan karne kee iltijaa hai ke apnee aankHoN meN mojood sitaaroN kee roshani meN se raat ko bhee aikroshani dau.

Umeed karti hooN ke ibhaam door ho geyaa ho gaa.

shukriya
Naheed
Back to top Go down
http://naheedvirk.urdupoet.net
naheedv
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 10
Registration date : 2007-11-29

ghazal Empty
PostSubject: Re: ghazal   ghazal Icon_minitimeSun Dec 09, 2007 12:07 am

Muhammad Ahmed wrote:
ghazal Narm-u10


dhund se ab nikaal suraj ko
sabz rangat bhi zard paat ko de


Naheed Virk
Sahiba,

Adaab!

sab se pehlay tau Sukhan dostaaN maiN khush aamdeed....

rahi baat ghazal ki tau janaab aap ki ghazal bohat khoob hay, achhi lagi, khas ker quoted she'r....

bohat sari daad haazir hay.... gar qabool uftad zahay izzo sharaf.....

Mukhlis,
Muhammad Ahmed.

aadaab janaab Muhammad Ahmed saaheb,

aap ne ghazal ko pasaNd kiyaa aur behad saraahaa tau iss ke liye maiN aap kee buhat mamnoon hooN.

buhat shukriya
Naheed
Back to top Go down
http://naheedvirk.urdupoet.net
naheedv
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 10
Registration date : 2007-11-29

ghazal Empty
PostSubject: Re: ghazal   ghazal Icon_minitimeSun Dec 09, 2007 12:10 am

zehrab wrote:
Dafan ker ke marey huey sab pal
zinda lamhey bhi meri zaat ko dey

Bohat khubsoorat ghazal kahi aap ney Naheed. Khas ker ye sher bohat acha laga.

Daad Hazir hey

Kher andesh

Qamar uz Zaman

Qamar saaheb,

aap ne meree ghazal ko pasaNd kiyaa, iss ke liye buhat shukriya!

mukhliS
Naheed
Back to top Go down
http://naheedvirk.urdupoet.net
Sponsored content





ghazal Empty
PostSubject: Re: ghazal   ghazal Icon_minitime

Back to top Go down
 
ghazal
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» ghazal!
» Aik Ghazal
» Ghazal
» aik taaza ghazal
» taaza ghazal!

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: ~suKhan daustaaN~ سخن دوستاں :: < Ghazal saraa'ay >-
Jump to: