Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 :: aek qit'a aur aek she'r ::

Go down 
5 posters
AuthorMessage
Zia Baloch
rukn-e-E'zaazii
rukn-e-E'zaazii



Number of posts : 13
Age : 43
Location : Balochistan
Registration date : 2007-10-27

:: aek qit'a aur aek she'r :: Empty
PostSubject: :: aek qit'a aur aek she'r ::   :: aek qit'a aur aek she'r :: Icon_minitimeFri Nov 30, 2007 4:49 am

Yaaran-e-suKhan-dostaaN , aadaab !

is KhoobSoorat bazm meiN aa kar mujhe be-intehaa Khushii maHsoos ho rahii hai ! meri du'aa hai k Allah ta'aala is bazm ko faroGh-e-urdu ka baai'c banaade Aaameen ! maiN is bazm ki intezaamiya ko dil ki gihraaiyoN se Mubaarakbaad dete hu'e aek taazah tareen she'r se apnii aamad ka i'laan kartaa hooN , go k is zameen meiN meri Ghazal bhii maujood hai , magar yeh she'r bilkul tar-o-taazah hai ! to mulaaHiza farmaaiye !

maiN hooN a'aashiq to mujhe daar pe laaye kyooN ho?
maiN hooN mujrim to miraa jurm bataayaa jaaye !


aur jaate jaate aek qit'a bhi sunaataa jaao'N to kyaa Harj hai ?

a'rz kiyaa hai :

Gham-zadah shahr kii fazaa kyooN hai ?
zindagii is qadar Khafaa kyooN hai ?

maut Hal to naheeN masaai'l kaa !
aadamii Khud ko maartaa kyooN hai ?



shukriya

Zia Baloch
Back to top Go down
miim miim mughal
muntaZim-e-a'A'laa
muntaZim-e-a'A'laa
miim miim mughal


Number of posts : 140
Age : 44
Location : North Nazimabad, Karachi
Registration date : 2007-10-24

:: aek qit'a aur aek she'r :: Empty
PostSubject: Re: :: aek qit'a aur aek she'r ::   :: aek qit'a aur aek she'r :: Icon_minitimeSat Dec 01, 2007 3:50 pm

bohat Khoob Ziyaa bhaiaa.. affraid

jii khush kardiyaa..

allah kary zor-e-qalam or ziyaaada'h

niyaaz mand

fire work
miim miim mughal
Back to top Go down
https://sukhan-daustaan.forumotion.com/index.htm
sameer
rukn-e-majlis-e-shooraa
rukn-e-majlis-e-shooraa
sameer


Number of posts : 35
Location : Keamari Karachi
Registration date : 2007-10-30

:: aek qit'a aur aek she'r :: Empty
PostSubject: Re: :: aek qit'a aur aek she'r ::   :: aek qit'a aur aek she'r :: Icon_minitimeSun Dec 02, 2007 1:36 am

Zia Baloch wrote:
Yaaran-e-suKhan-dostaaN , aadaab !

is KhoobSoorat bazm meiN aa kar mujhe be-intehaa Khushii maHsoos ho rahii hai ! meri du'aa hai k Allah ta'aala is bazm ko faroGh-e-urdu ka baai'c banaade Aaameen ! maiN is bazm ki intezaamiya ko dil ki gihraaiyoN se Mubaarakbaad dete hu'e aek taazah tareen she'r se apnii aamad ka i'laan kartaa hooN , go k is zameen meiN meri Ghazal bhii maujood hai , magar yeh she'r bilkul tar-o-taazah hai ! to mulaaHiza farmaaiye !

maiN hooN a'aashiq to mujhe daar pe laaye kyooN ho?
maiN hooN mujrim to miraa jurm bataayaa jaaye !


aur jaate jaate aek qit'a bhi sunaataa jaao'N to kyaa Harj hai ?

a'rz kiyaa hai :

Gham-zadah shahr kii fazaa kyooN hai ?
zindagii is qadar Khafaa kyooN hai ?

maut Hal to naheeN masaai'l kaa !
aadamii Khud ko maartaa kyooN hai ?



shukriya

Zia Baloch


aadaab Zia bhaaii


aapkaa pehlaa shair paRhkar faraz SaaHib kaa shair yaad aagaya.


munSif ho agar tum toh kab insaaf karo gay?
Qaatil hoN agar maiN toh saza kyuN nahi detay


baharHaal humesha kii tarhaa Khoob shair aur Khoob Qitaa hai. bharpoor daad HaaZir hai qabool kijiye.


aapka bhaaii

SAMEER
Back to top Go down
waQaar-aHmad-malik
mehmaan
mehmaan
waQaar-aHmad-malik


Number of posts : 21
Registration date : 2007-11-08

:: aek qit'a aur aek she'r :: Empty
PostSubject: Re: :: aek qit'a aur aek she'r ::   :: aek qit'a aur aek she'r :: Icon_minitimeSun Dec 02, 2007 9:12 pm

Ziaa bh~aa,ii!

Salaam 'arZ hay!

aik baat Hairaan ker ga,ii keh aapnay tuk-bandi dec-2004 maiN Shuruu' kii. meN to samjh~a keh nah-jaanay aap kab say ker rahay haiN. is leHaaz say to aap meray saath~ hi haiN, meN 2004 maiN beHr per research ker raha th~aa. laikin aapkay kalaam ki pukhtagi say aapka Shoq aur lagan Saaf naZ^ar aati hay.

aapka qita^'ah bahut pasand aaYa. aik samaaji pehloo per aapnay soCh viChaar kernay ka moq'ah diYa hay qaari ko, jo aajkal kay dor maiN bahut taizi say baRh~ gaYa hay. meray liYay Yeh beHtareen amal hay jo aik Shaa'ir apnay qalam kay Zaree'ay ker sakta hay, laikin afsos keh aajkal kay bayShtar Shaa'ir rivaaYati Shaa'iri per vaah vaah samaiT per khuSh haiN. daad haaZir hay meri, qubool kee jiyay!.(khat^ lamba ho gaYa, ma'zirat!)

waQaar Smile
Back to top Go down
Zia Baloch
rukn-e-E'zaazii
rukn-e-E'zaazii



Number of posts : 13
Age : 43
Location : Balochistan
Registration date : 2007-10-27

:: aek qit'a aur aek she'r :: Empty
PostSubject: Re: :: aek qit'a aur aek she'r ::   :: aek qit'a aur aek she'r :: Icon_minitimeFri Dec 14, 2007 1:46 pm

miim miim mughal wrote:
bohat Khoob Ziyaa bhaiaa.. affraid

jii khush kardiyaa..

allah kary zor-e-qalam or ziyaaada'h

niyaaz mand

fire work
miim miim mughal

Mughal bhaa'ii, aadaab !

ma'zirat k taa'Kheer ho ga'ii,

aap kii daad se bahut HauSla miltaa hai ! nehaayat mamnoon hooN shukriya

Zia Baloch
Back to top Go down
Zia Baloch
rukn-e-E'zaazii
rukn-e-E'zaazii



Number of posts : 13
Age : 43
Location : Balochistan
Registration date : 2007-10-27

:: aek qit'a aur aek she'r :: Empty
PostSubject: Re: :: aek qit'a aur aek she'r ::   :: aek qit'a aur aek she'r :: Icon_minitimeFri Dec 14, 2007 1:47 pm

sameer wrote:
Zia Baloch wrote:
Yaaran-e-suKhan-dostaaN , aadaab !

is KhoobSoorat bazm meiN aa kar mujhe be-intehaa Khushii maHsoos ho rahii hai ! meri du'aa hai k Allah ta'aala is bazm ko faroGh-e-urdu ka baai'c banaade Aaameen ! maiN is bazm ki intezaamiya ko dil ki gihraaiyoN se Mubaarakbaad dete hu'e aek taazah tareen she'r se apnii aamad ka i'laan kartaa hooN , go k is zameen meiN meri Ghazal bhii maujood hai , magar yeh she'r bilkul tar-o-taazah hai ! to mulaaHiza farmaaiye !

maiN hooN a'aashiq to mujhe daar pe laaye kyooN ho?
maiN hooN mujrim to miraa jurm bataayaa jaaye !


aur jaate jaate aek qit'a bhi sunaataa jaao'N to kyaa Harj hai ?

a'rz kiyaa hai :

Gham-zadah shahr kii fazaa kyooN hai ?
zindagii is qadar Khafaa kyooN hai ?

maut Hal to naheeN masaai'l kaa !
aadamii Khud ko maartaa kyooN hai ?



shukriya

Zia Baloch


aadaab Zia bhaaii


aapkaa pehlaa shair paRhkar faraz SaaHib kaa shair yaad aagaya.


munSif ho agar tum toh kab insaaf karo gay?
Qaatil hoN agar maiN toh saza kyuN nahi detay


baharHaal humesha kii tarhaa Khoob shair aur Khoob Qitaa hai. bharpoor daad HaaZir hai qabool kijiye.


aapka bhaaii

SAMEER

Sameer bhaa'ii, w/salaam

aap kii daad se HauSla baRhaa ! nehaayat mamnoon hooN ! shukriy

Zia Baloch
Back to top Go down
Zia Baloch
rukn-e-E'zaazii
rukn-e-E'zaazii



Number of posts : 13
Age : 43
Location : Balochistan
Registration date : 2007-10-27

:: aek qit'a aur aek she'r :: Empty
PostSubject: Re: :: aek qit'a aur aek she'r ::   :: aek qit'a aur aek she'r :: Icon_minitimeFri Dec 14, 2007 1:51 pm

waQaar-aHmad-malik wrote:
Ziaa bh~aa,ii!

Salaam 'arZ hay!

aik baat Hairaan ker ga,ii keh aapnay tuk-bandi dec-2004 maiN Shuruu' kii. meN to samjh~a keh nah-jaanay aap kab say ker rahay haiN. is leHaaz say to aap meray saath~ hi haiN, meN 2004 maiN beHr per research ker raha th~aa. laikin aapkay kalaam ki pukhtagi say aapka Shoq aur lagan Saaf naZ^ar aati hay.

Waqaar bhaa'ii, w/salaam

aap bhii ! maiN to Khair tuk-bandii se aage naheeN baRh sakaa , magar aap ka kalaam to bahut u'mdah hotaa hai ! vaaq'ii shaai'rii Khudaa kii dain hai !


aapka qita^'ah bahut pasand aaYa. aik samaaji pehloo per aapnay soCh viChaar kernay ka moq'ah diYa hay qaari ko, jo aajkal kay dor maiN bahut taizi say baRh~ gaYa hay. meray liYay Yeh beHtareen amal hay jo aik Shaa'ir apnay qalam kay Zaree'ay ker sakta hay, laikin afsos keh aajkal kay bayShtar Shaa'ir rivaaYati Shaa'iri per vaah vaah samaiT per khuSh haiN. daad haaZir hay meri, qubool kee jiyay!.(khat^ lamba ho gaYa, ma'zirat!)

waQaar Smile

aap ka sochne ka andaaz bhii mujh saa hii hai ! Smile yeh meree Khush-baKhtii hai k aap ko mera qit'a aur she'r donoN pasand aaye ! nehaayat mamnoon hooN ! shukriya

Zia Baloch

Back to top Go down
Khalid Mahmood
muntaZim
muntaZim



Number of posts : 81
Age : 73
Location : Mississauga, Canada.
Registration date : 2007-10-26

:: aek qit'a aur aek she'r :: Empty
PostSubject: Re: :: aek qit'a aur aek she'r ::   :: aek qit'a aur aek she'r :: Icon_minitimeMon Mar 17, 2008 8:09 am

waah zia bhaii!

yaar itni deir itna achha qeta aankh sey ojhal rakhney per maazrat aur iski khoobsoorti per daad qubool keejey!! Smile
Back to top Go down
Sponsored content





:: aek qit'a aur aek she'r :: Empty
PostSubject: Re: :: aek qit'a aur aek she'r ::   :: aek qit'a aur aek she'r :: Icon_minitime

Back to top Go down
 
:: aek qit'a aur aek she'r ::
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Aaj Ka Qita ......................
» Namak Paarey.....ek Qita

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: ~suKhan daustaaN~ سخن دوستاں :: < Ghazal saraa'ay >-
Jump to: