Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 ~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm)

Go down 
3 posters
AuthorMessage
miim miim mughal
muntaZim-e-a'A'laa
muntaZim-e-a'A'laa
miim miim mughal


Number of posts : 140
Age : 44
Location : North Nazimabad, Karachi
Registration date : 2007-10-24

~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Empty
PostSubject: ~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm)   ~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Icon_minitimeThu Mar 13, 2008 3:14 pm

~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Tamhiidti6
~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Nazmxu1




merii pehlii aazaad naZm..

ROMAN Ver. by: muHammad na'eem samiir (with thnx)



maiN kisii god maiN mehv-e-khwaabiidagii
jaaney kab tak rahaa
dafa’tan ik Sadaa
alATash alATash, al~amaaN al~amaaN
meri neendoN kay Khaymay uRaa lay gayee
woh Sadaa jaisay naQ’Qaary kii chob thii
maiN nay aaNkheN maliiN
dhund ch’hatnay lagii
chaar jaanib safar, ibtidaa, ibtilaa
gardanoN ko jhukaa’ay khaRay baa~adab
merii jaanib kanakhiyoN say daykhaa ke’ay
ibtilaa mujh say aakar milii aur maiN
ibtidaa say mila,phir safar say milaa
Hukm sa kuch huwaa ab chalo !
maiN nay poocha kahaaN?
zaad-e-reh saath looN?
Hukm Saadir huwaa, bas chalo!
Khair maiN chal paRaa
kuch qadam hi chalaa thaa ke’h ik aa’ina’
raah maiN mil gayaa,
thaa shabaahat gazeeda’h, tahayyur farosh
aik bay chehragii kay safar maiN magan
hum Qadam ho gayaa
raastay maoM ka’ee maQbaray bhii milay
naa rasaa’aa kisii rooH kay bhai’s maiN
bay~yaqeenii, gumaaN bhii milay raah maiN
maiN ke’h chaltaa rahaa, wo bhii chaltay rahay
phool, Qos e qazaaH, titliyaaN bhii mileeN
aik Zulmat~kada’h bhii sar-e-re’h milaa
mairay qadmoN pe’h sar rakh kay roney lagaa
is say pehley ke’h maiN us say kuch’h poochtaa
mujh say kehney lagaa, mujhko bhii lay chalo
Khair, hum chal paRay aur chaltay rahay
teen humjolyaN aik bargad ki Daalii pe’h peeNgainN baRhaatii miliiN
kuch shakasta’h Huroof aur lehjay milay
paarsaa’ee , taAr’ruZ, wafaa, tamkinat
rat jagay, neem khwaabii, fuGhaaN dar fuGhaaN
ik adhorii Khushii, waSl bhii, hijr bhii
aik soonii kalaa’eei, Hinaa bhii milia
dastaras bhii milii ur amaaN bhii milii
aik sehmaa huvaa lams bhii mil gayaa
bhook, ghurbat kii ith’kailiyaaN bhii miliiN
raastay maiN mujhay raigzaar-e-junooN bhii milaa
aik damsaaz aur ik Khirad aashnaa
fehm-o-daanish milay aur pindaar bhii
chaak-e-daaman ka mousim, rufu kay babool
ik chaman bhi milaa, baaGhbaaN bhii milaa
raahbar, raahzan, naQd-e-jaaN ur nishaaT
siim-o-zar bhii milay, bay dilii say milay
saath denay ko bas saath chaltay rahey
maiN bhii chaltaa rahaa
dafAtan aik jaanib say aa’ee Sadaa
zindagii aaga’ee zindagii aaga’ee
zindagii kiaa thii jaisay ho ko’ee dulhan
jaisay rangiin mosim kii ko’ee phaban
jaaney kiu’N mere siinay maiN uth’thii chubhan
meri Qismat maiN chalnaa likhaa thaa, maiN chaltaa rahaa
din dhalaa raat karvaT badalnay lagii
sub thakay haaray 'paZ'murda’h chehroN kay saath
apnii apnii thakan auRhay chaltay rahay
maiN bhii chaltaa rahaa
chaand badlii kii chilman maiN taaroN kay saath
raat bhar munhamik guftgoo maiN rahaa

maiN bhii sargoshiyaN inkii suntaa rahaa
raat dhalnay lagii "hum" bhii thaknay lagay
taaray sonay lagay
aik taarah miraa humsafar reh gayaa
door ufuQ say k’ee aarahaa thaa idhar (woh kidhar reh gayaa ?)
ik kiran apnay haathoN maiN thaamay huway
maiN bhii jaldii say aagay baRhaa us Taraf
us Taraf roshnii thii.........magar roshnii
Sirf Khush Khwaab aaNkhoN kii zeenat banii

Miim Miim Mughal
Back to top Go down
https://sukhan-daustaan.forumotion.com/index.htm
yasmin feroz
mehmaan
mehmaan
yasmin feroz


Number of posts : 20
Registration date : 2007-11-04

~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Empty
PostSubject: Re: ~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm)   ~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Icon_minitimeMon Apr 21, 2008 4:38 pm

[quote="miim miim mughal"]
~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Tamhiidti6
~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Nazmxu1




merii pehlii aazaad naZm..

ROMAN Ver. by: muHammad na'eem samiir (with thnx)


[b][color=blue]
maiN kisii god maiN mehv-e-khwaabiidagii
jaaney kab tak rahaa
dafa’tan ik Sadaa
alATash alATash, al~amaaN al~amaaN
meri neendoN kay Khaymay uRaa lay gayee
woh Sadaa jaisay naQ’Qaary kii chob thii
maiN nay aaNkheN maliiN
dhund ch’hatnay lagii
chaar jaanib safar, ibtidaa, ibtilaa
gardanoN ko jhukaa’ay khaRay baa~adab
merii jaanib kanakhiyoN say daykhaa ke’ay
ibtilaa mujh say aakar milii aur maiN
ibtidaa say mila,phir safar say milaa
Hukm sa kuch huwaa ab chalo !
maiN nay poocha kahaaN?
zaad-e-reh saath looN?
Hukm Saadir huwaa, bas chalo!
Khair maiN chal paRaa
kuch qadam hi chalaa thaa ke’h ik aa’ina’
raah maiN mil gayaa,
thaa shabaahat gazeeda’h, tahayyur farosh
aik bay chehragii kay safar maiN magan
hum Qadam ho gayaa
raastay maoM ka’ee maQbaray bhii milay
naa rasaa’aa kisii rooH kay bhai’s maiN
bay~yaqeenii, gumaaN bhii milay raah maiN
maiN ke’h chaltaa rahaa, wo bhii chaltay rahay
phool, Qos e qazaaH, titliyaaN bhii mileeN
aik Zulmat~kada’h bhii sar-e-re’h milaa
mairay qadmoN pe’h sar rakh kay roney lagaa
is say pehley ke’h maiN us say kuch’h poochtaa
mujh say kehney lagaa, mujhko bhii lay chalo
Khair, hum chal paRay aur chaltay rahay
teen humjolyaN aik bargad ki Daalii pe’h peeNgainN baRhaatii miliiN
kuch shakasta’h Huroof aur lehjay milay
paarsaa’ee , taAr’ruZ, wafaa, tamkinat
rat jagay, neem khwaabii, fuGhaaN dar fuGhaaN
ik adhorii Khushii, waSl bhii, hijr bhii
aik soonii kalaa’eei, Hinaa bhii milia
dastaras bhii milii ur amaaN bhii milii
aik sehmaa huvaa lams bhii mil gayaa
bhook, ghurbat kii ith’kailiyaaN bhii miliiN
raastay maiN mujhay raigzaar-e-junooN bhii milaa
aik damsaaz aur ik Khirad aashnaa
fehm-o-daanish milay aur pindaar bhii
chaak-e-daaman ka mousim, rufu kay babool
ik chaman bhi milaa, baaGhbaaN bhii milaa
raahbar, raahzan, naQd-e-jaaN ur nishaaT
siim-o-zar bhii milay, bay dilii say milay
saath denay ko bas saath chaltay rahey
maiN bhii chaltaa rahaa
dafAtan aik jaanib say aa’ee Sadaa
zindagii aaga’ee zindagii aaga’ee
zindagii kiaa thii jaisay ho ko’ee dulhan
jaisay rangiin mosim kii ko’ee phaban
jaaney kiu’N mere siinay maiN uth’thii chubhan
meri Qismat maiN chalnaa likhaa thaa, maiN chaltaa rahaa
din dhalaa raat karvaT badalnay lagii
sub thakay haaray 'paZ'murda’h chehroN kay saath
apnii apnii thakan auRhay chaltay rahay
maiN bhii chaltaa rahaa
chaand badlii kii chilman maiN taaroN kay saath
raat bhar munhamik guftgoo maiN rahaa

maiN bhii sargoshiyaN inkii suntaa rahaa
raat dhalnay lagii "hum" bhii thaknay lagay
taaray sonay lagay
aik taarah miraa humsafar reh gayaa
door ufuQ say k’ee aarahaa thaa idhar (woh kidhar reh gayaa ?)
ik kiran apnay haathoN maiN thaamay huway
maiN bhii jaldii say aagay baRhaa us Taraf
us Taraf roshnii thii.........magar roshnii
Sirf Khush Khwaab aaNkhoN kii zeenat banii

Miim Miim Mughal bohat achhi aur dil chasp kahani hay parh kar maza aagaya
Back to top Go down
yasmin feroz
mehmaan
mehmaan
yasmin feroz


Number of posts : 20
Registration date : 2007-11-04

~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Empty
PostSubject: Re: ~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm)   ~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Icon_minitimeMon Apr 21, 2008 4:41 pm

mim mim mughal sahib
bohat achchi aur dilchsp kahani hay parh kar maza aagaya
yasmin
Back to top Go down
Khalid Mahmood
muntaZim
muntaZim



Number of posts : 81
Age : 73
Location : Mississauga, Canada.
Registration date : 2007-10-26

~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Empty
PostSubject: Re: ~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm)   ~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Icon_minitimeSat Apr 26, 2008 10:19 am

mohtaram mughal sb aap ne aazaad nam ki zulfon per bhi utni hi kamaal ki safaii aur khoobsoorti sey haath saaf fermaaya hai Very Happy dili daad qubool keeje! Smile
Back to top Go down
Sponsored content





~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Empty
PostSubject: Re: ~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm)   ~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm) Icon_minitime

Back to top Go down
 
~: Khwaab safar :~ (merii pehlii naZm)
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» ek nazm
» His'sa (aik saada sii nazm...)
» Nazm - hamen un mosamoN men rehnaa hai
» Nazm - Ae watan kee shaheed malka ( Be Nazeer)
» Ammaad aZhar kii aik naZm-(Hussain ibn-e-Alii)

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: ~suKhan daustaaN~ سخن دوستاں :: < gausha'-manZoomat >-
Jump to: