Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 dehshat-gard se

Go down 
AuthorMessage
zaamin
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 7
Registration date : 2007-11-22

dehshat-gard se Empty
PostSubject: dehshat-gard se   dehshat-gard se Icon_minitimeFri Dec 28, 2007 3:20 am

kuchh arsa qabl yeh nazm huwii thii,aaj mehsoos huwa ki ise kaar'iin ki azar kar diya jaa'e;aap ki a'ra ki umiid se

-----------------


shikaayat waajib bhii ho saktii hai
ghaflat-shi'aar waqt ki hawaaon
ki sama’aton se pare
ghum-shudah kisii daftar-e-siyaasat men
tavajja’on ki talabgaar;
lekin yeh bhii kyaa
ki maut lapeT kar jismoN se
sar-e-baazaar be-imti'aazaanaa
bachon,buRon ,bekasooron ko
baanT di jaaye yoon zaalimaaana,
aur bad-tar ki
chispaan kar di jaaye
is per waajbiyat
majhabon ki
KitaaboN ki
faiz-e-rasaalat ki
hukm-e-ilaahii ki;

aag jab hawa men lagti hai
to bhool jaatii hai imti'aaz
qarb-o-aghyaar ka,
dost aur dushman yaksaan
eendhan is ki lapakati dehkati zubaan ko;

aur aksar hawaa
rukh badlati hai apna
muta’assab ta’aaffan liye
besabab,be-ikhityaar janooN ke saath
beh deti hai
bar-aks simt main;
aur phooNk deti hai apne dhaaroN meN
harkis ko
thoRha sii bhii ho bawastagi
jis ki
aag-baaNT.te jimson se
aur
mazhab unka
hawaaon men uRta hai
wehshat ka laqb liye





zaamin
Back to top Go down
 
dehshat-gard se
Back to top 
Page 1 of 1

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: ~suKhan daustaaN~ سخن دوستاں :: < gausha'-manZoomat >-
Jump to: