Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath)

Go down 
3 posters
AuthorMessage
Jawaid Badauni
~ imtiyaazii " suKhan daust " ~
~ imtiyaazii



Number of posts : 24
Registration date : 2007-11-24

meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Empty
PostSubject: meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath)   meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Icon_minitimeThu Jan 24, 2008 5:20 am


"Taj Mahal"


"Yamuna" ke kanare jo HaseeN Taj Mahal hai
lagta hai keh jaise kisee shayar ki Ghazal hai

devaaroN meN ik soz.e moHabbat sa nihaaN hai
yeh Taj kahaN aah.e dil.e “Shah JahaN” hai

hai Shaah ki rudaad nah malika ki kahani
yeh Taj hai dou ishq ke maroN ki nishani

is mulk ke jalwoN ka hai sartaj yehee Taj
har mulk ke sayyaHoN ki m’eraaj yehee Taj

jo dekhe isey aatish.e ulfat se woh jal jaye
paththar meN kashish aisee keh paththar bhi pighal jaye

duniya meN nah aisee koii devar na dar hai
yeh Taj nahiN m’ojzaa.e funn.o hunar hai

maGrib ki faza apne nazaaroN pe hai nazaaN
is Taj ki rAnaaii pe lekin hai woh HairaN

ai Taj tire Husn ke andaaz nirale
har samt se aate haiN tujhe dekhne waale

yakta hai tira Husn woh yakta hi rahega
tou ek Ajoobah hai Ajoobah hi rahega
------------------------------------------------


Jawaid Badauni




meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Taj_Mahal_F_2
Back to top Go down
miim miim mughal
muntaZim-e-a'A'laa
muntaZim-e-a'A'laa
miim miim mughal


Number of posts : 140
Age : 44
Location : North Nazimabad, Karachi
Registration date : 2007-10-24

meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Empty
PostSubject: Re: meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath)   meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Icon_minitimeTue Jan 29, 2008 5:33 pm

kiaa kehnay jaawaid SaaHib.
bonus bonus
waah mazaa aagyaa paRH kay ...
meii Tarf sy DhairoN daad qabool kiijiy.
naZm maiN paabandii aap kay baray pan
aur mushkil pasandii kaa Caboot hay.

aur jin moSofa' nay ye' naZm Saurii aahang maiN paish
kii ..... go maiN unkay naam say naawaqif hooN..
magar unkaa kaam daikh kar andazah hota hay k'e
maashaa allah khoob grift rakhtii haiN..
is fan par.
fire work fire work fire work fire work

merii jaanib sy daad aur duaa'aiN is KhobSoorat kaam kay liay.

taalib-e-duaa

miim miim mughal
Back to top Go down
https://sukhan-daustaan.forumotion.com/index.htm
Jawaid Badauni
~ imtiyaazii " suKhan daust " ~
~ imtiyaazii



Number of posts : 24
Registration date : 2007-11-24

meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Empty
PostSubject: Re: meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath)   meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Icon_minitimeWed Jan 30, 2008 4:11 am

Azeezi Meem Meem MuGhal Saahab, aadaab

Nazm ki pazeeraayee ke liye mamnoon hooN.

mujhe pahle hi likhna chaahiye tha is nazm ko yeh Khubsurat shakl kis ne dee hai. MoHtarma Rehana Ahmed "JanaN" SaHibah "Urdu Duniya" forum ki rooh.e rawaaN haiN. USA meN raihtee haiN. meree shairee ko bohat pasaNd karteee haiN aur mujhe apna Bhaii bhi kahtee haiN. Yeh "Image" unhoN ne hi banaker bheja hai.

maiN dekh raha hooN kuch arSey se aap ka forum bohat sust hai. shayad is Taraf sub se pahle Khud aap ko tawajjo dena hogee. maiN Insha Allah haZiree lagata rahooNga.

aapka muKhliS
Jawaid Badauni
Back to top Go down
miim miim mughal
muntaZim-e-a'A'laa
muntaZim-e-a'A'laa
miim miim mughal


Number of posts : 140
Age : 44
Location : North Nazimabad, Karachi
Registration date : 2007-10-24

meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Empty
PostSubject: Re: meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath)   meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Icon_minitimeWed Jan 30, 2008 2:39 pm

jaawaid Saahib
aadaab.

buhat shukriya' .. rehaana' Saahiba' kay fan paary maiN akCar daikthaa rehta hoN... so merii jaanib say aik baar phir unko mubaarakbaad

rahii baat sustii kii to jnaab aap kaa kehnaa bajaa hay .....
maiN in dinoN kuch ziyaada maSroof hoN.

bahar Haal ab aataa rahoNgaa. inshaa allah.

niyaaz mand
miim miiim mughal
Back to top Go down
https://sukhan-daustaan.forumotion.com/index.htm
sameer
rukn-e-majlis-e-shooraa
rukn-e-majlis-e-shooraa
sameer


Number of posts : 35
Location : Keamari Karachi
Registration date : 2007-10-30

meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Empty
PostSubject: Re: meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath)   meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Icon_minitimeSat Feb 02, 2008 4:10 pm

moHtaram janaab javed badauni SaaHib.
aadaab.


MASHA ALLAH khoob rawaN naZm kahi hai aap nay, paRh kar mazah aagaya. yuN toh saaHir Ludhyaanvi kii naZm meri maHboob kahiN aur milaa kar mujh say" kii aaKhri 2 satr bhi yaad aa rahiN haiN.

ik shahanshaah nay doulat ka sahaara lay kar
hum ghariiboN kii maHabbat ka uRaya hai mazaQ

saahir ludhyaanvi


laikin is kay bavajood Taaj mahal kii ahmiyat ko naZar andaaz nahi kiya jasakta.

merii jaanib say bhi bhar poor daad.....


SAMEER
Back to top Go down
Jawaid Badauni
~ imtiyaazii " suKhan daust " ~
~ imtiyaazii



Number of posts : 24
Registration date : 2007-11-24

meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Empty
PostSubject: Re: meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath)   meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Icon_minitimeSun Feb 03, 2008 4:01 am

sameer wrote:
moHtaram janaab javed badauni SaaHib.
aadaab.


MASHA ALLAH khoob rawaN naZm kahi hai aap nay, paRh kar mazah aagaya. yuN toh saaHir Ludhyaanvi kii naZm meri maHboob kahiN aur milaa kar mujh say" kii aaKhri 2 satr bhi yaad aa rahiN haiN.

ik shahanshaah nay doulat ka sahaara lay kar
hum ghariiboN kii maHabbat ka uRaya hai mazaQ

saahir ludhyaanvi


laikin is kay bavajood Taaj mahal kii ahmiyat ko naZar andaaz nahi kiya jasakta.

merii jaanib say bhi bhar poor daad.....


SAMEER



Bohat bohat shukriya Sameer SaaHab. Sahir Ludhiyanvee bohat baRe shayar thEy. Woh kahaN maiN kahaN. waise woh mere marGoob tareen shoara' meN se haiN magar mera aur unka Taj Mahal per sochne ka andaaz muKhtalif hai. Nazm ki pazeeraayee ke liye ek baar phir shukriya.

Jawaid
Back to top Go down
Sponsored content





meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Empty
PostSubject: Re: meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath)   meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath) Icon_minitime

Back to top Go down
 
meri nazm Taj Mahal ("image" ke saath)
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» "uR ga,iiN saath~ havaa,oN kay hamaari ghazlaiN"
» Haa'ee_ko.......Taj Mahal
» Nazm - Ae watan kee shaheed malka ( Be Nazeer)
» Meri TaraHee Ghazal Mushairah Urdubandhan (Decmber)
» Meri Ghazal TaraHee Mushairah Urduduniya (December)

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: ~suKhan daustaaN~ سخن دوستاں :: < Ghazal saraa'ay >-
Jump to: