Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 Aik Ghazal "raat bhar"

Go down 
AuthorMessage
sameer
rukn-e-majlis-e-shooraa
rukn-e-majlis-e-shooraa
sameer


Number of posts : 35
Location : Keamari Karachi
Registration date : 2007-10-30

Aik Ghazal "raat bhar" Empty
PostSubject: Aik Ghazal "raat bhar"   Aik Ghazal "raat bhar" Icon_minitimeTue Jan 22, 2008 2:53 am

HaaZreen e meHfil, aadaab. Aik Ghazal pesh e Khidmat hai, is ummeed k saath kay aap apni aaraa say maHroom nahiN kareiN gay.shukriyah.


Gham tera mujh ko soney nah dey raat bhar
dill sulagtaa hai is aanch say raat bhar

tere waadey, wafa, yaad, tanhaa~iyaaN
kyuN bhatak~tey haiN yeh Qaafiley raat bhar

bhook, weHshat, moHabbat, wafa, zindagii
Tim~Timaatey rahey yeh diye raat bhar.

unko suuraj kii pehlii kiran kya miley?
jo bahaltey rahey Chaand say raat bhar.

neend palkoN pe Aa Aa kay jalti rahi
yeh sitam bhi kiya raat ney raat bhar.

yeh teri bay Hisii hai kay tera SAMEER
din ko yuNhi phiray aur likhay raat bhar.

SAMEER
Back to top Go down
 
Aik Ghazal "raat bhar"
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Aik Ghazal
» ghazal!
» Ghazal
» ghazal
» Aik Puraani Ghazal

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: ~suKhan daustaaN~ سخن دوستاں :: < Ghazal saraa'ay >-
Jump to: