jahaN pe aaj juda hai jahaan maiN bhi tha
kahbi to mehfil e jaanaN ki jaan maiN bhi tha
ye theek hai k naii simt tu ne dee thee mujhey
tu nakhuda tha ager, baadbaan maiN bhi tha
muqad'daroN ko shab o roz kosney waalo
rah e naseeb pe ooNcha makaan maiN bhi tha
dabeez abr ko chatney se rok deitee rahiiN
wo jin zameenoN pe ik aasmaan maiN bhi tha
kisi habeeb sey izhaar e ishq ki maanind
kabhi na khul ke hua jo bayaan maiN bhi tha
zar o waqaar ki wuq'at na thi meirey nazdeek
magar dikhaavey ki ik aan baan maiN bhi tha
maiN aik rooh tha, mujhko badan ney maar diya
baeed e qeid e makaan o zamaan maiN bhi tha
meirey wujood ki thandak maiN tamtaraaq nahiN
haqeer ter tha, magar saaebaan maiN bhi tha
jo ehd shikni maiN us sey bhi teiz ter ho ga
ik us key zehn meiN aisa gumaan maiN bhi tha
meiree panaah maiN mujh per thee teer andaazi
kuch is qimaash ki ooNchi machaan maiN bhi tha
jo zindgee meiN faqat aik baar kaam aaey
bagheir teer saja wo kamaan maiN bhi tha
khurach khurach ke mujhey choR ker to met jaao
wafa key ehd ka mubham nishaan maiN bhi tha
bigaaR paaey gee peeri na kuch tera khaalid
rahey ye vird e zabaN ger,'javaan maiN bhi tha'[/size]