Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey

Go down 
2 posters
AuthorMessage
zehrab
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 20
Location : USA
Registration date : 2007-12-06

Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey Empty
PostSubject: Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey   Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey Icon_minitimeThu Jan 03, 2008 4:17 pm

shaeri ki duniya ke saathiyon ki nazar, ek adna si kawish.


Gulshan mein thi Bahar tumhen sochtey rahey
saanseN theeN khar khar tumhen sochtey rahey

Aayee hawa ke dosh pe ik aashna mehek
ham kho ke ikhtiar tumheN sochtey rahey

chu ke dar-e habib ko lotey tow raah mein
palkeN theeN ashkbar tumhen sochtey rahey

Tanha, sakoot-e shab meIn sar-e aastan-e shauq
sooni thi reh guzar tumheN sochtey rahey

guzrey kisi gali sey tow her naqsh-e pa ke pas
ham ruk ke bar bar tumhen sochtey rahey

RaqsaN thi shehr-e yas mein ik aarzoo Qamar
LerzaaN they dil ke tar tumhen sochtey rahey


Niaz mand

Qamar
Back to top Go down
sameer
rukn-e-majlis-e-shooraa
rukn-e-majlis-e-shooraa
sameer


Number of posts : 35
Location : Keamari Karachi
Registration date : 2007-10-30

Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey Empty
PostSubject: Re: Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey   Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey Icon_minitimeThu Jan 03, 2008 10:55 pm

Tanha, sakoot-e shab meIn sar-e aastan-e shauq
sooni thi reh guzar tumheN sochtey rahey

guzrey kisi gali sey tow her naqsh-e pa ke pas
ham ruk ke bar bar tumhen sochtey rahey

RaqsaN thi shehr-e yas mein ik aarzoo Qamar
LerzaaN they dil ke tar tumhen sochtey rahey


moHtaram Qamar Zaman SaaHib.
aadaab.


waisay toh maiN dusray forum per daad dey chuka hoN laikin Ghazal itni ach~chi hai kay yahaN bhi daad diye baGhair guzara nahi. toh meri jaanib say bharpoor daad aur mubarak baad

aapka bhaaii

SAMEER
Back to top Go down
zehrab
mehmaan
mehmaan



Number of posts : 20
Location : USA
Registration date : 2007-12-06

Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey Empty
PostSubject: Re: Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey   Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey Icon_minitimeSat Jan 05, 2008 4:10 pm

sameer wrote:
Tanha, sakoot-e shab meIn sar-e aastan-e shauq
sooni thi reh guzar tumheN sochtey rahey

guzrey kisi gali sey tow her naqsh-e pa ke pas
ham ruk ke bar bar tumhen sochtey rahey

RaqsaN thi shehr-e yas mein ik aarzoo Qamar
LerzaaN they dil ke tar tumhen sochtey rahey


moHtaram Qamar Zaman SaaHib.
aadaab.


waisay toh maiN dusray forum per daad dey chuka hoN laikin Ghazal itni ach~chi hai kay yahaN bhi daad diye baGhair guzara nahi. toh meri jaanib say bharpoor daad aur mubarak baad

aapka bhaaii

SAMEER

Sameer Bhaai

Aap ki mohabbat hey aur husn-e nazar hey ke itney shauq sey is qadar bherpoor daad diye chaley jaatey hein aap. Jitna bhi shukria ada kiya jaaey aap ka wo kam hey.

Adab

Qamar
Back to top Go down
Sponsored content





Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey Empty
PostSubject: Re: Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey   Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey Icon_minitime

Back to top Go down
 
Gulshan meiN thi bahar tumheN sochtey rahey
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Nafas Nafas MeiN teri yad ki hararat hey

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: ~suKhan daustaaN~ سخن دوستاں :: < Ghazal saraa'ay >-
Jump to: