Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 aik taaza ghazal

Go down 
AuthorMessage
Khalid Mahmood
muntaZim
muntaZim



Number of posts : 81
Age : 73
Location : Mississauga, Canada.
Registration date : 2007-10-26

aik taaza ghazal Empty
PostSubject: aik taaza ghazal   aik taaza ghazal Icon_minitimeFri Jan 04, 2008 3:28 am

jahaN pe aaj juda hai jahaan maiN bhi tha
kahbi to mehfil e jaanaN ki jaan maiN bhi tha

ye theek hai k naii simt tu ne dee thee mujhey
tu nakhuda tha ager, baadbaan maiN bhi tha

muqad'daroN ko shab o roz kosney waalo
rah e naseeb pe ooNcha makaan maiN bhi tha

dabeez abr ko chatney se rok deitee rahiiN
wo jin zameenoN pe ik aasmaan maiN bhi tha

kisi habeeb sey izhaar e ishq ki maanind
kabhi na khul ke hua jo bayaan maiN bhi tha

zar o waqaar ki wuq'at na thi meirey nazdeek
magar dikhaavey ki ik aan baan maiN bhi tha

maiN aik rooh tha, mujhko badan ney maar diya
baeed e qeid e makaan o zamaan maiN bhi tha

meirey wujood ki thandak maiN tamtaraaq nahiN
haqeer ter tha, magar saaebaan maiN bhi tha

jo ehd shikni maiN us sey bhi teiz ter ho ga
ik us key zehn meiN aisa gumaan maiN bhi tha

meiree panaah maiN mujh per thee teer andaazi
kuch is qimaash ki ooNchi machaan maiN bhi tha

jo zindgee meiN faqat aik baar kaam aaey
bagheir teer saja wo kamaan maiN bhi tha

khurach khurach ke mujhey choR ker to met jaao
wafa key ehd ka mubham nishaan maiN bhi tha

bigaaR paaey gee peeri na kuch tera khaalid
rahey ye vird e zabaN ger,'javaan maiN bhi tha'
[/size]
Back to top Go down
 
aik taaza ghazal
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Ghazal
» taaza ghazal!
» taaza tareen mili juli ghazal
» ghazal!
» Aik Ghazal

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: ~suKhan daustaaN~ سخن دوستاں :: < Ghazal saraa'ay >-
Jump to: